Facebook Auto Like Istamaal Karne Ke Fayde Aur Nuksaan Jaaniye

Hello Everyone, Aaj mein Aap sab ko kuch important baat batane wala hon agar Aap Facebook user hai to Aap ko janna bohat he zaroori hai kya Aap facebook par auto like istamaal karte hai kya Aap ko pata hai iss auto like se account par kya effect padta hai
chaliye jaante hai auto liker ke fayde aur nuksaan ,
Facebook Auto Liker Ke Fayde :
Aaj kal jadaa se jadaa log auto liker ke peeche bhag rahe hai har koi chahta hai ke mera like mere friend ke muqable me jadaa ho
Dekhiye dosto jab hum facebook par apna photo post karte hai aur hame like comment nahi milta hai tab hum aise me kisi facebook auto liker website ka istamaal karte hai aur hame kuch minute me 200 se 500 like mil jata hai
aur hamare friend dekh kar hairaan ho jaate hai aur hamari popularity kaafi badh jaati hai
Pehle mein bhi auto liker istamaal karta tha
phir mujhe apne facebook I'd par kuch negative activity dekhne ko mila
phir mujhe apne facebook I'd par kuch negative activity dekhne ko mila
phir mujhe pata chala iss auto liker ke istamaal karne ke nuksaan
Facebook Auto Liker Ke Nuksaan :
jab hum kisi auto liker website par apna account banate hai too woh website ke paas hamara saraa information chala jaata hai aur hamara account hack ke andar bhi aa jata hai
waise Aap ko pata hoga jab hum log auto liker istamaal karte hai to hame Baar Baar apna facebook ka password badalna padta hai yaa log in karne par kuch temporary problem dekhne ko milta hai


Agar Aap Apne Facebook account ke activity log par jaakar dekhenge to Aap ko aisa activity dekhne ko milega jo Aap ne kya Nahi hai
Jaise Aap ka like aur comments kisi aur ke post par hai jab ke Aap ne like aur comment nahi kya
Aisa kyun hota hai kyun ke Aap ne jo auto liker website par apna account log in kya hai woh website ke pass Aap ka control chal gaya hai Aab woh website Aap ka account se kisi aur logo ko like comment karega
aise me Aap ke account par etna jadaa Bina kuch kiye activity dekhne ko milta hai
Aur Facebook bhi yeh allow Nahi karta hai ke Aap kisi auto liker se apna like badhaye
Aap apna original Like laane ki koshish kijiye inn sab chakkar par mat padhye warna account suspend hone ka darr hai
Note :
agar aap facebook auto liker istamaal karte hai too woh aap apne risk par
iss me auto liker website ka koi galti nahi hai .
thanks for reading !?
0 Comments